Pages

Monday, 26 March 2012

Tumhare Shaher Ka Mausam Barha Suhana Lagge

Tumhare Shaher Ka Mausam Barha Suhana Lagge.. 
Main Eik Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lagge.. 

Tumhare Bas Mein Agar Ho To Bhul Jao Mujye.. 
Tumhe Bhulane Mein Shayad Mujye Zamana Lagge.. 

Humare Pyaar Se Jalne Laggi Hai Eik Duniya.. 
Duwa Karro Kissi Dushman Ki Bad Duwa Na Lagge.. 

Main Eik Shaam Chura Loon Agar Burra Na Lagge.. 
Tumhare Shaher Ka Mausam Barra Suhana Lagge.. 

Jo Dub Na Hai To Itne Sakoon Se Dubbo.. 
Ke Ass Paas Ki Lehroon Ko Bhi Pata Na Lagge.. 

Kuch Is Aadha Se Mere Saath Bewafai Kar.. 
Ke Tere Baad Mujye Koi Bewafa Na Lagge.. 

Tumhare Shehar Ka Mausam Barra Suhana Lagge... 
Main Eik Shaam Chura Loon Agar Burra Na Lagge... 

Thursday, 22 March 2012

Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe


Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe
us ki khwaahish thi kabhi mujkho bikharte dekhe

wo saleeqay se huwa mujh se gureyzan warna
log to saaf mohabbat se mukarte dekhe

tum ney dekha hey nikalta huwa sooraj logo
tum ne kuch khwaab suhaanay nahi marte dekhe

waqt hota hey har ik zakhm ka marham shayed
phir bhi kuch zakhm thay aesey jo na bhartay dekhe

aek sehmey huwey sahil ki tarha aankhon ne
kitne charhtey huwey toofan utarte dekhe

Wednesday, 21 March 2012

Main ne Lecture Taveel Sun Ke Wasi


Main ne Lecture Taveel Sun Ke Wasi"
Phir Khabi Dil Se Yeh Nahin Phocha
Woh Tujhe Yaad Kyun Nahi Karta
Toh Usyee Bhool Kyun Nahin Jaata

Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge


Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge
Sach kehta hoon mere bin bohat pachtaoge

Bardasht ka paimaana hai mera bhi bohat wasi
Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge

Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi
Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge

Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda
Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge

Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari
Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge

Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai


Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai
Khuda ne jo bhi diya hai maqam tum se hai

Tumhare dam se hain mere lahoo mai khilte gulaab
Mere wujood ka saara nizam tum se hai

Kahan bisaat-e-jahan aur mai kamsin aur nadaan
Yeh meri jeet ka sab ahtemam tum se hai

Jahan jahan hai meri dushmani sabab mai hoon
Jahan jahan hai mera ahteraam tum se hai

Muhabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna


Muhabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna
jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna

jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna

jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna

yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
jab inn ki yakh bas“tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna

tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna

dayaar-e-nuur me.n teraa shabo.n kaa saathii ho


dayaar-e-nuur me.n teraa shabo.n kaa saathii ho
ko_ii to ho jo merii vahashato.n kaa saathii ho

mai.n us se jhuuTh bhii boluu.N to mujh se sach bole
mere mizaaj ke sab mausamo.n kaa saathii ho

vo mere naam kii nisbat se mo'atabar Thahare
galii galii merii rusvaa_iiyo.n kaa saathii ho

mai.n us ke haath na aa_uu.N vo meraa hoke rahe
mai.n gir pa.Duu.N to merii pastiyo.n kaa saathii ho

vo Khvaab dekhe to dekhe mere havaale se
mere Khayaalo.n ke sab manzaro.n kaa saathii ho

Friday, 16 March 2012


Aaj dekha hai tujhe der k bad


Aaj dekha hai tujhe der k bad
aj ka din guzar na jaye kahin


Na mila kar udas logon se
husn tera bikhar na jaye kahin


Aarzu hai k tu yahan aye
aur phir umr bhar na jaye kahin


Ji jalata hun aur ye sochta hun
rayegan ye hunar na jaye kahin


Aao kuch der ro hi len 'Nasir'
phir ye dariya utar na jaye kahin
ik rasm jo ham nibha na sakay
qatal bhi hoay or qatil bhi thaihray

Iss Zeezst ko ab aur na jeenay ke dua do


Ishq Ghaltaan Hay


Thursday, 15 March 2012

Mujhay Manzilon Se Azeez Hain

Mujhay Manzilon Se Azeez Hain,
Teri Rehguzar Ki Musaafatain.

Ke Likhi Hai Mere Naseeb Mein,
Abhi Umr Bhar Ki Musaafatain.

Uss Ek Pal Ki Talaash Hay,
Jisay Log Kehtay Hain Zindagi..

Teri Rahguzar Mein Bikhar Gayi,
Meri Umar Bhar Ki Musaafatain.

Hain Barey Ajeeb Se Waastey,
Ke Guraiz-pa Sabhi Raaste..

Wo, Teri Nigaah K Faasley,
Ye Meri Nazar Ki Musaafatain... 

Wednesday, 14 March 2012

Yaktarfa muhabat


yaktarfa muhabat or vo mairay sawal thay
umeedain mairi or us kay naqaab thay

main chahta tha kabhi to hosla ho
or us ki baybaqi kay kya raaz thay

shaihr bhar main thi mairi paihchaan
par wo hum say anjaan thay

us kay sab khootay kharay niklay, our
hamary tamam daam khasaray kay daam thay

~Talish~


Sunday, 11 March 2012

Jab kabi tra dil ghbrae to lot ana.


Jab kabi tra dil ghbrae to lot ana.
Agr tuje mri yad aye to lot ana.
Kch wqt acha guzra hai sath tmhre.
Wo wqt yad aye to lot ana.
Ek wqt k lye dost bun jate hai subi log.
Agr kbi wo wqt yad aye to lot ana.
Tum se dur na hota agr ksmat sath deti to.
Agr kbi dil ki dharkn tez ho jy to lot ana.
Log to aksr sath nhi dte dil walo ka.Pas reh kr b agr koi sath na de to lot ana.
Najane tri itni yad kyn ati hai.
Agr ye paigam pohnch jaye to lot ana

Dayar-e-Noor Mein Tera Shabon Ka Saathi Ho


Dayar-e-Noor Mein Tera Shabon Ka Saathi Ho
Koi To Ho Jo Mairi Wahshaton Ka Saathi Ho


Main Uss Say Jhoot Bhi Bolun To Mujh Say Sach Boley
Mairey Mizaaj Ke Sab Mosamon Ka Saathi Ho


Main Uss Ke Haath Na Aaoon Woh Maira Ho Ke Rahey
Main Gir Paroon To Mairi Pastiyon Ka Saathi Ho


Woh Mairey Naam Ki Nisbat Say Motabar Thehrey
Gali Gali Mairi Ruswaiyon Ka Saathi Ho


Main Apney Aap Ko Daikhoon Woh Muj Ko Daikhey Jaye
Woh Mairey Nafs Ki Gumrahiyon Ka Saathi Ho


Woh Khawab Daikhey To Daikhey Mairey Hawaley Say
Mairey Khayal Ke Sab Manzaron Ka Saathi Ho !

Kaheen mille to ose ye kehna


Kaheen mille to ose ye kehna
K faseel-e-nafrat gira raha hoon
Gaey dinon ko bhula raha hoon,
Wo apne wade se phir gaya hai
Mai apne wade nibha raha hoon
Kahin mille to ose ye kehna
Na dil mein koi malal rakhe
Hamesha apna khyal rakhe woh
Apne ghum sare mujh ko de de
Aur tamam khushiyan sambhal rakhe
Kahin mille to ose ye kehna
Main tanha sawan bita chuka hon
Main sare arman jla chuka hon
Jo shole bharke the khwahishon k
Wo anso,oon se bujha chuka hon.....

Mujh say mukhles


Mujh se mukhles na wakif mere jazbaat se tha
Us ka rishta to faqat apne mafadat se tha
Ab jo bichra hai to kia royen judai pe teri
Ye andesha to hame pehli mulaqat se tha

Saturday, 10 March 2012

Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Yeh Haq Hai Tumko,
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai tumsay.

Tuesday, 6 March 2012

Wo humsafar tha

wo humsafar tha magar 
us se hum nawayi na thi
k dhoop chaon ka aalam raha 

judai na thi
Adawatein thi ...
Taghaful tha ..
Ranjishen thi ... Magar
Bicharne wale main sab kuch tha magar be wafai na thi
Bicharte waqt un aankhon main thi hamari ghazal
Ghazal bhi wo jo kabhi kisi ko sunayi na thi
kisay pukaar raha tha wo doobte huey din
sada to ayi thi lakin koi duhaayi na thi
kabhi ye haal k dono main yak-dili thi Mohsin
kabhi ye marhala jaise k aashnayi na thi ...




Monday, 5 March 2012

Naksh faryad hay


aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa


aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !
kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa
jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa
qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa
ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !
ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa
uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa
hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa
kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa
shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa
qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa
manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa
andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa
aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa
apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
“Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa

Sunday, 4 March 2012

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain


Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain
Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Kartay Hain
Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-daar Howa Kartay Hain
Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Kartay Hain
Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain
Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain
Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain

Na Main Paas Usko Bula Saka Na Main Dil Ki Baat Bata Saka

Na Main Paas Usko Bula Saka Na Main Dil Ki Baat Bata Saka
Woh Hansi Hansi Main Hi Chal Diya K Main Haath Tak Na Hila Saka

Mujhey Kya Khabar K Woh Kya Hua Mujhey Kitna Gehra Khumaar Tha
Main Khara Tha Us K Hisaar Main Mere Ird Ggird Ghubaar Tha

Yunhi Sochta Raha Der Tak Magar Us Ko Kuch Na Bata Saka
Na Main Paas Us Ko Bula Saka Na Main Dil Ki Baat Bata Saka

Na Hai Dushmani Kisi Din Se Ab Na Hai Dosti Kisi Raat Se
Hai Bacha Hi Kya Jo Woh Le Gaya Mujhey Cheen Kar Meri Zaat Se

Ye Muqaam Hi Tha Ajeeb Sa K Main Khud Ko Bhi Na Bacha Saka
Na Main Paaas Us Ko Bula Saka Na Main Dil Ki Baat Bata Saka

Ye Bhi Theek Hai Woh Chala Gaya Mujhey Bund Raastey Per Chorr Kar
Ye Bhi Theek Hai K Na Aaye Ga Kabhi Butt ANA Ka Woh Torr Kar

Woh Juda Bhi Kaisey Hua K Main Koi Rasm Bhi Na Nibha Saka
Na Main Paas Us Ko Bula Saka Na Main Dil Ki Baat Saka


Shayad Main Zindagi Ki Sehar Le K Aa Gaya

Shayad Main Zindagi Ki Sehar Le K Aa Gaya
Qaatil Ko Aaj Apney Hi Ghar Le K Aa Gaya

Taa Umr Dhoondta Raha Manzil Main Ishq Ki
Anjaam Ye K Gard-E-Safar Le K Aa Gaya

Nashtar Hain Mer Haath Main Kaandhon Pe Mae-Kada
Lo Main Ilaaj-E-Dard-Jigar Le K Aa Gaya

Faakir Sanam Kadey Main Na Aata Main Laut Kar
Ik Zakhm Bhar Gaya Tha Idher Le K Aa Gaya

Shayad Main Zindagi Ki Sehar Le K Aa Gaya
Qaatil Ko Aaj Apney Hi Ghar Le K Aa Gaya


Saturday, 3 March 2012

Marde Musalma.n

Koi Umeed Bar Nahi Ati

Koi Umeed Bar Nahi Ati
Koi Soorat Nazar Nahi Ati
Moat Ka Aik Din Mo-ayeeyan Hai
Neend Kyun Raat Bar Nahi Ati
Agay Ati Thi Hal-e-Dil Pe Hansee
Ab Kisi Baat Per Nahi Ati
Jaanta Hoon Sawab-e-Teyat-o-Zohad
Per Tabiyaat Udher Nahi Ati
Hai Kuch Aisee Hai Baat Jo Chup Hoon
Warna Kiya Baat Ker Nahi Ati
Meri Aavaaz gar Nahin Aati

Daag-e-dil gar Nazar Nahin Aata
Boo bhi ae Chaaraa-gar Nahin Aati 

Hum Wahan Hain Jahan say Hum Ko Bhi
Kuch Hamari Khabar Nahi Ati

Martay Hein Arzoo Mein Marnay Ki
Moat Ati Hai Per Nahi Ati

Kaba Kis Moun say Jao Gay Ghalib
Sharam Tum Ko Magar Nahi Ati

Dil mein ek laher si utthi hai abhi

Dil mein ek laher si utthi hai abhi 
Koi taaza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

shor barpa hai khana-e-dil mein
koi deewar si giri hai abhi 
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

kuchh to nazuk mizaaj hain hum bhi 
aur ye chote bhi nayi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

yaad ke be-nishaan jazeeron se
teri awaaz aa rahi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

shehar ki be-charaagh galiyon mein
zindagi tujh ko dhoondti hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi


ان سے ہو روز ملاقات ضروری تو نہیں


ان سے ہو روز ملاقات ضروری تو نہیں

ہو ملاقات میں کچھ بات ضروری تو نہیں

جام چھلکاتی ہو برسات ضروری تو نہیں
مے کشی رند خرابات ضروری تو نہیں

یوں تو ہر رات کی قسمت میں ہے سحر لیکن
ہاں مگر ہجر کی اک رات ضروری تو نہیں

ہے کوئی پردہ تخیل کے پیچھے نہاں
حسن پابندِ حجابات ضروری تو نہیں

چشم ساقی کا تلطف ہے مشیت واصف
سب پہ یکساں ہوں عنایات ضروری تو نہیں

Wo shakhs to shahar hi chor gaya



wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye
jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye
wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha
ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye
ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi
aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye
muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza
in khali kamron main ?Nasir? ab shamma jalaun kis k liye

Friday, 2 March 2012

Mohabbaton ka pata chalay ga

Had-e-jana say guzar hoa to, mohabbaton ka pata chalay ga
Koi mohabbat ke nazar hoa to, mohabbaton ka pata chalay ga 
Abhi to phirtay ho doston main, azeez koi juda nahi hai 
Koi idhar say udhar hoa to, mohabbaton ka pata chalay ga
Abhi mohabbat nahi hoi na. kuch isiliay muskara rahay ho 
Kisi ke bahoon main ghar hoa to , mohabbaton ka pata chalay ga

Wo jiske khatir bana rahay ho,zamanay bhar ko tum apna dushman
Woh he na apna agar hoa to , mohabbaton ka pata chalay ga 



Yi kaisa bicharna ki sham hoty hi apny pyaron mai loot aana,
Kabhi jo lamba safar howa to MUHABATON ka pata chalyga.

MUHABATON mai pathron ko mom hoty suna hai laikn,
Tumhary dil pa asar howa to MUHABATON ka pata chalyga.



aise chup hai.n ke ye manzil bhii ka.Dii ho jaise 
teraa milanaa bhii judaa_ii ki gha.Dii ho jaise 

apane hii saaye se har gaam laraz jaataa huu.N 
raaste me.n ko_ii diivaar kha.Dii ho jaise 

manzile.n duur bhii hai.n manzile.n nazadiik bhii hai.n 
apane hii paao.n me.n zanjiir pa.Dii ho jaise 

kitane naadaan hai.n tere bhulane vaale ke tujhe 
yaad karane ke liye umr pa.Dii ho jaise 

aaj dil khol ke roye hai.n to yuu.N Khush hai 'Faraz' 
chand lamho.n kii ye raahat bhii ba.Dii ho jaise 

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota


Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Payar Say Chao Say Bade Maan K Saath
Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat K Khizan Lamho Mein
Tu Kisi Soch Mei Doobi Jo Ghumaati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak Jata
Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jaata
Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kay Safar Pay Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaya Karti
Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kayi Baatein Karta
Teri Zulfon Tere Gaal Ko Chooma Karta
Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Mein Mehak Ta Rehta
Mein Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta
Kuch Nahi To Ye Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota


                           

Aaney wali ruton ke anchal mein


Aaney wali ruton ke anchal mein
Koi saa’at saeed kya ho gi
Raat ke wakt rang kya pehnoon
Roshni ki kuleed kya hogi
Jabke baadal ki aut laazim ho
Janti hoon, ke deed kya hogi
Zard mausam ki khushk tehni se
Konplon ki umeed kya hogi
Chand ke koi pass bhi sunaney ko
Ab ke koi naweed kya hogi
Gul na hoga to jashne khushbu kya
Tum na ho ge tou eid kya hogi

kabhii aa.Nsuu kabhii Khushii bechii


kabhii aa.Nsuu kabhii Khushii bechii 
ham Gariibo.n ne bekasii bechii 

chand saa.Nse Khariidane ke liye 
roz tho.Dii sii zindagii bechii 

jab rulaane lage mujhe saaye  
mai.n ne uqtaa ke raushanii bechii 

ek ham the ke bik gaye Khud hii 
varanaa duniyaa ne dostii bechii 

~Abu Talib~

ab do aalam se sadaa-e-saaz aatii hai mujhe


ab do aalam se sadaa-e-saaz aatii hai mujhe 
dil kii aahaT se terii aavaaz aatii hai mujhe 

yaa samaat kaa bharam hai yaa kisii naGme.n kii guu.Nj 
ek pahachaanii hu_ii aavaaz aatii hai mujhe 

kis ne kholaa hai havaa me.n gesuuo.n ko naaz se
narm_rau barasaat kii aavaaz aatii hai mujhe 

us kii naazuk u.Ngaliyo.n ko dekh kar aksar "Adam" 
ek halki sii sadaa-e-saaz aatii hai mujhe 

Thursday, 1 March 2012

محّبت کی رنگینیاں چھوڑ آئے




محّبت کی رنگینیاں چھوڑ آئے
ترے شہر میں اک جہاں چھوڑ آئے

پہاڑوں کی وہ مست و شاداب وادی
جہاں ہم دلِ نغمہ خواں چھوڑ آئے

وہ سبزہ وہ دریا وہ پیڑوں کے سائے
وہ گیتوں بھری بستیاں چھوڑ آئے

حسیں پنگھٹوں کا وہ چاندی سا پانی
وہ برکھا کی رُت وہ سماں چھوڑ آئے

بہت سے ملے ہمسفر رستے میں
نہیں یاد کس کو کہاں چھوڑ آئے

بہت دور ہم آگئے اس گلی سے
بہت دور وہ آستاں چھوڑ آئے

بہت مہرباں تھیں وہ گُل پوش راہیں
مگر ہم انھیں مہرباں چھوڑ آئے

بگولوں کی صورت یہاں پھر رہے ہیں
نشیمن سرِ گلستاں چھوڑ آئے

یہ اعجاز ہے حُسنِ آوارگی کا
جہاں بھی گئے داستاں چھوڑ آئے


چلے آئے ان راہگزاروں سے جالب
مگر ہم وہاں قلب و جاں چھوڑ آئے

حبیب جالب
__________________