Pages

Sunday, 9 December 2012

Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay

Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay, 
Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay... 

Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay,
Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay... 

Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay,
Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay...

Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay,
Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay...

Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay,
Phir 'Aag ka Darya' hay aur 'Doob' kay jana hay...!!

Sunday, 18 November 2012

wo jo sja baitha hay

wo jo sja baitha hay tairay hathon ki lakeeron main 
un lakeron say pooch bhala wo door huwa to kaisay

Tuesday, 2 October 2012

Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay


Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay
Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay ?
Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Mein
Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay
Mein Jis Ke Hijr Mein Roya Hun Paaglon Ki Tarah
Wo Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Per Kaisay
Azeez-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Vasl Mein Bhi
Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay
Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon “Mohsin” ?
Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay

Saturday, 21 April 2012

Merhalay Shooq K Dushwar Howa Kartay Hain

Merhalay Shooq K Dushwar Howa Kartay Hain,
Saye Bhi Rah Ki Dewar Howa Kartay Hain ....!!

Woh Jo Such Boltay Rahnay Ki Kasam Khatay Hain,
Woh Adalat May Gunahgaar Howa Karaty Hain ....!!

Sirf Haaton Ko na Dekho Kabhi Aankhin Bhi Perho,
Kuch Sawali Beray Khudaar Howa Kartay Hain ....!!

Woh Jo Pather Youn hi Rastay May Peray Rahtay Hain ,
Un K Seenay May Bhi Shahkaar Howa Kartay Hain ....!!

Subha Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai ,
Woh Sitaron K Azadaar Howa Kartay Hain ....!!

Jin Ki Aankhoon May Sada Piyaas K Sehra Chmkain ,
Der Haqeeqat Wohi Funkaar Howa Kartay Hain :...!!

Shram Aati Hai K Dushman Kisay Samjhin MOHSIN ,
Dushmani K Bhi To Meyaar Howa Kartay Hain ....!!

Monday, 26 March 2012

Tumhare Shaher Ka Mausam Barha Suhana Lagge

Tumhare Shaher Ka Mausam Barha Suhana Lagge.. 
Main Eik Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lagge.. 

Tumhare Bas Mein Agar Ho To Bhul Jao Mujye.. 
Tumhe Bhulane Mein Shayad Mujye Zamana Lagge.. 

Humare Pyaar Se Jalne Laggi Hai Eik Duniya.. 
Duwa Karro Kissi Dushman Ki Bad Duwa Na Lagge.. 

Main Eik Shaam Chura Loon Agar Burra Na Lagge.. 
Tumhare Shaher Ka Mausam Barra Suhana Lagge.. 

Jo Dub Na Hai To Itne Sakoon Se Dubbo.. 
Ke Ass Paas Ki Lehroon Ko Bhi Pata Na Lagge.. 

Kuch Is Aadha Se Mere Saath Bewafai Kar.. 
Ke Tere Baad Mujye Koi Bewafa Na Lagge.. 

Tumhare Shehar Ka Mausam Barra Suhana Lagge... 
Main Eik Shaam Chura Loon Agar Burra Na Lagge... 

Thursday, 22 March 2012

Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe


Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe
us ki khwaahish thi kabhi mujkho bikharte dekhe

wo saleeqay se huwa mujh se gureyzan warna
log to saaf mohabbat se mukarte dekhe

tum ney dekha hey nikalta huwa sooraj logo
tum ne kuch khwaab suhaanay nahi marte dekhe

waqt hota hey har ik zakhm ka marham shayed
phir bhi kuch zakhm thay aesey jo na bhartay dekhe

aek sehmey huwey sahil ki tarha aankhon ne
kitne charhtey huwey toofan utarte dekhe

Wednesday, 21 March 2012

Main ne Lecture Taveel Sun Ke Wasi


Main ne Lecture Taveel Sun Ke Wasi"
Phir Khabi Dil Se Yeh Nahin Phocha
Woh Tujhe Yaad Kyun Nahi Karta
Toh Usyee Bhool Kyun Nahin Jaata

Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge


Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge
Sach kehta hoon mere bin bohat pachtaoge

Bardasht ka paimaana hai mera bhi bohat wasi
Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge

Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi
Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge

Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda
Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge

Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari
Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge

Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai


Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai
Khuda ne jo bhi diya hai maqam tum se hai

Tumhare dam se hain mere lahoo mai khilte gulaab
Mere wujood ka saara nizam tum se hai

Kahan bisaat-e-jahan aur mai kamsin aur nadaan
Yeh meri jeet ka sab ahtemam tum se hai

Jahan jahan hai meri dushmani sabab mai hoon
Jahan jahan hai mera ahteraam tum se hai

Muhabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna


Muhabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna
jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna

jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna

jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna

yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
jab inn ki yakh bas“tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna

tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna

dayaar-e-nuur me.n teraa shabo.n kaa saathii ho


dayaar-e-nuur me.n teraa shabo.n kaa saathii ho
ko_ii to ho jo merii vahashato.n kaa saathii ho

mai.n us se jhuuTh bhii boluu.N to mujh se sach bole
mere mizaaj ke sab mausamo.n kaa saathii ho

vo mere naam kii nisbat se mo'atabar Thahare
galii galii merii rusvaa_iiyo.n kaa saathii ho

mai.n us ke haath na aa_uu.N vo meraa hoke rahe
mai.n gir pa.Duu.N to merii pastiyo.n kaa saathii ho

vo Khvaab dekhe to dekhe mere havaale se
mere Khayaalo.n ke sab manzaro.n kaa saathii ho

Friday, 16 March 2012


Aaj dekha hai tujhe der k bad


Aaj dekha hai tujhe der k bad
aj ka din guzar na jaye kahin


Na mila kar udas logon se
husn tera bikhar na jaye kahin


Aarzu hai k tu yahan aye
aur phir umr bhar na jaye kahin


Ji jalata hun aur ye sochta hun
rayegan ye hunar na jaye kahin


Aao kuch der ro hi len 'Nasir'
phir ye dariya utar na jaye kahin
ik rasm jo ham nibha na sakay
qatal bhi hoay or qatil bhi thaihray

Iss Zeezst ko ab aur na jeenay ke dua do